mana ke har eik ki zindagi mein ghum ate hain magar
jitne ghum mujhe mile utni meri umer na thi..
Kitabon Say Daleel Don Ya Dil Ko Samney Rakhun
Woh Mujh Say Pooch Baithay Hain Mohabat Kis Ko Kehtay Hain
falak ke teer ka dekha kya nishaana tha
aik taraf asmaan ki bijli aik taraf mera ashiyana tha
poohanch rahi thi jab kinara kisthi-e umeed
us waqt iss toufaan ko bhi ana tha
Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaaney kiya soch ke rota raha Qatil Mera
Meri Takmeel mein Hissa hai Tumhara bhi buhut
Mein agar Tum sey na milta tou Adhoora rehta
kal Dhoop kay Mailey say khareedey thay khiloney
Aik mom (wax) ka putla tha jo Ghur tak nahin pohancha
Haath Uss ke bhi huey hon gey yaqeenun Zakhmi
Jiss ne Kaantey Meri Raahon mein bich'haaey hongey
is ki khwaish hain k angan main utre suraj
bhol betha hain k khud mom ka ghar rakhta hain
Dil jal kar khak howa Ankhoon say roya na gaya
Zakham kuch aisey lagey Phoolon par soya na gya
Nafratoon ki kitab parh kay mohabbatoon ka paigam likhna
Bauhat mushkil hai khizaan kay mathay per dastan-e-ghulab likhna
>>>>>>>><<<<<<<< Next Page 15 |