* kis qadar pur sakoon
zabt ki jheel hai
jiss mein khiltay nahin
dard kay daairay....
aur meray haath mein
teri yaadoun kay kankur bhi baaqi nahin....
* bachpan k dukh b kitnay achay hua karty thy,
tab to sirf khalonay toota karty thy.......
woh khushian b najanay kaisi khusian thin ,
titli k par noch k uchla karty thy.....
paun mar k khud barish k pani mein ,
ap apni nao daboya karty thy........
choty thay to makaro faraeb b choty thy,
dana dal k chirian pakra karty thy......
* Tau chalo maan lia mujh ko ishq hai tum say .......
tau chalo tum bhi kaho isee sabab maghroor ho tum
* main wo sab bhool ghayi
Wo taira kanptay hathoon se maira haath thamna
Phir holay se dabana
Wo taira Aankhoon se jhank kar nazroon ko girana ,
dheeray se muskrana
Wo tairay hontoon ka dheeray se larzna
Ik ajab lehar ka badan main chalna
Wo tumhein choonay ka ehsas,
jesay doolti ho koee nawoon
Ye sab kuch bhool bhi jawoon magar
Nahin bholay ghee kabhi bhi mujh ko
Haye wo Aaghazy mohabat ki pehli dharkan.
* ishq karnay kay bhi kuch aa dab hotay hain
khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
har koi roo kay dekhai yeh zarore to nahi
khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
* Har khushi kam hai tera gham bhulane ke liye,
Ek tera Gham hi kafi hai mujhe umr bhar rulane ke liye.
>>>>>>>><<<<<<<< Next Page 16 |