Poetry Page 20

Gazal

Dasht-e-Hijraan may Na saya na sada terray baad
Kitnay tanha hain teray aabla pa , teray baad......

Lab pe ik herf-e-talab tha, na raha teray baad.....
Dil may taseer ki khawaish na dua , teray baad....

Aks-o-aiyna may ub rubt ho kia teray baad.........
Hum to phirtay hain apnay say khafa teray baad..

Dil na Mehtab say Uljah na jala teray baad.........
Aik jugnoo tha K chup chap bujha , teray baad...

Tujh say bichra hon to Murjah K howa burd-e-hawa
Kon deta Mujhay khilnay ki dua teray baad ??....

Yeh alag baat K afsha na hua tuu werna..............
Mein nay kitna tujhay mehssos kia teray baad.......

Meri dukhti hoee ankhoon say gawahi lena...........
Mein nay socha tujhay apnay say sawa, teray baad

Sah liya dil neh teray baad malamat ka azab..........
Warna chubhti hay rag-e-jaan may hawa , teray baad.

>>>>>>>>>><<<<<<<<< Next Page 21
 
 
 
 
Today, there have been 46 visitors (71 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free