Gazal
**** Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thii
Naa yeh ke husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam sii
Na yeh ke wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay
Koi bhi rutt hoa us ki chaab
Fiza ka rang roop thii
Woh garmioun ki chaoon thii
Wo sardioun ki dhoop thii
Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay ziid
Naa yeh kay azn-e-aam ho
Naa aisi khush libaasian
Ke saadgi gilaa kare
Naa aisi baytakaluffi
Ke aaina haya kare
Naa ekhtilaat main wo ram
Ke badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Ke zich karain nawazishain
Naa aashqi junoon kee
Ke zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Ke dosti kharab ho
Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban
Bhali si aik shakl thii
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din
Naheen,
Magar kabhi kabhi
>>>>>>>>>><<<<<<<<<< Page No 25 |