Jaan Jee Poetry Compitition

Please Send ur own poetry on our web site...PLEASE VOTE THE POETRY FROM GIVEN BELOW WHO'S THE BEST POETRY IN OUR SITE POETRY COMPETITION !!! Send Ur Votes On lovely_zkfr@Yahoo.Com......


For Vote The Best Poetry CLICK HERE !




Name:
Your Email address:
Homepage:
Your message:

 I Agree To Add Poetry !

<-Back

 1  2  3  4 Continue -> 
Name:Malik Salahuddin (web Master) 
E-Mail:Geo_Tv_DesignersYahoo.Com
Homepage:http://www.salahuddin.co.cc
Time:04/07/2008 at 6:24am (UTC)
Message:>>> Plzzz read this carefully <<<

<B> HI DEAR VISITORS > APP JAB B KOI NEW POETRY POST KERAY TO SAB SE PEHALY TOP LINE PY US KI HEADING DEIN THEN 2 TIME PRESS ENTER BUTTON AND WRITE UR GHAZAL/POETRY AND SEND IT TO OUR POETRY COMPE.... THANKS VISITORS... </B>

for more details about us so plzz visit our company site WWW.SALAHUDDIN.CO.CC

Name:Malik Salahuddin (web Master) 
E-Mail:Geo_Tv_DesignersYahoo.Com
Homepage:http://www.salahuddin.co.cc
Time:04/07/2008 at 6:24am (UTC)
Message:>>> Plzzz read this carefully <<<

<B> HI DEAR VISITORS > APP JAB B KOI NEW POETRY POST KERAY TO SAB SE PEHALY TOP LINE PY US KI HEADING DEIN THEN 2 TIME PRESS ENTER BUTTON AND WRITE UR GHAZAL/POETRY AND SEND IT TO OUR POETRY COMPE.... THANKS VISITORS... </B>

for more details about us so plzz visit our company site WWW.SALAHUDDIN.CO.CC

Name:fari
Homepage:-
Time:04/05/2008 at 5:46pm (UTC)
Message:yeh hai meri kahani
khamosh zindagani
sannata keh raha hai
kyun zulm seh raha hai

ek dastaan purani
tanhayi ki zubani
her zakham khil raha hai
kuch mujh se keh raha hai

chubtay kantay yadoon ke daaman say chunta hoon
girti deewaron ke aanchal mai zinda hoon

bass yeh meri kahani
benishaan nishaani
ek darr beh raha hai
kuch mujh se keh raha hai

chubtay kaanten yadoon ke daaman se chunta hoon
girti deewaron ke aanchal mein zinda hoon

bajay pyaar ki shabnum mere gulistaan mein
baraste rehte hain har simt maut ke saye
siyahiyon se ulajh padti hain meri aankhein
koi nahi .. koi bhi nahi jo batlaye
kitni der ujalon ki raah dekhe
koi nahi hai koi bhi nahi
na pass na durr
yeh pyaar hai
dil ki dharkan
apni chahat ka jo ellan kiye jaati hai
zindagi hai jo jiye jaati hai
khoon k ghoont peay jaati hai
khwaab aankhon se siye jaati hai

ab na koi paas hai
phir bhi ehsaas hai
yahiaon mai uljhi padi
jeene ki ek aas hai
yadoon ka jungle yeh dil
kaanton se jal thal yeh dil

chubtay kaanten yadoon ke daaman se chunta hoon
girti deewaron ke aanchal mein zinda hoon



Name:haji
Homepage:-
Time:04/05/2008 at 10:52am (UTC)
Message:

Samny koi rasta bhi nahi
mera khud se rabta bhi nahi

yaad rakhna bhi ik azab hua
bhol jany ka hosla bhi nahi

ik din wo mujhe bulaye ga
kia yaqeen hai jo toot_ta bhi nahi

waswasey dil ko kion sataty hain
wo abhi to wo bewafa bhi nahi

lamha lamha tumhare naam kia
aur kuch mere paas tha bhi nahi

Name:haji
Homepage:-
Time:04/05/2008 at 10:45am (UTC)
Message:Baadalon Se Kaat Kaatke,
Kaagazon Pe Naam Jodna

Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?
Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?

Doriyon Se Baandh Baandh Ke
Raat Bhar Chand Todna

Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?
Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?

Ek Baar Tumko Jab
Baraste Paaniyon Ke Paar Dekha Thha
Yoon Laga Thha Jaise
Gungunaata Ek Abshaar Dekha Thha
Tabse Meri Neend Mein Barasti Rehti Hai
Bolti Bahut Ho Aur Hasti Rehti Ho

Jo Tujhe Jaanta Na Ho
Us-Se Tera Naam Poochna

Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?
Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?

Dekho Yoon Khule Badan
Gulabi Sahilon Pe Aaya Na Karo
Tum Namak Bhare Samundaron Mein Yoon
Is Tarah Nahaya Na Karo
Sara Din Chandni Si Chhaayi Rehti Hai
Aur Gulabi Dhoop Baukhlai Rehti Hai

Jaamno Ki Naram Daal Pe
Naakhoon Se Naam Khodna

Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?
Yeh Mujhe Kya Ho Gaya?

Name:haji
Homepage:-
Time:04/04/2008 at 7:43pm (UTC)
Message:Zindagi Ki Rahoon Main

Oonch Neech Hoti Hai

Faslay Bhi Berhty Hain

Chahtain Bhi Lut_ti Hain

Raet Ke Toofanon Main

Sansain Bhi Rulti Hain

Yeh Bhi Aain Mumkin Hain

Aaj Hum ikhathay Hain

Kal Ko Saath Hoon Na Hoon

Chahe Kuch Bhi Hoo Janaan!!

Hosloon Ko Na Khona

Be_Wajah Bhi Na Rona

TUm Udaas Na HOna..

Name:haji
Homepage:-
Time:04/04/2008 at 7:29pm (UTC)
Message:Chale woh Qadam Qadam jo sath mere
To us k sath se Pyar ho jaye
Thame jo pyar se hath mera
To apne hi hatho se pyar ho jaye
jis rat aaye khuwabo main woh
us suhani raat se pyar ho jaye
jis baat main aaye zikar us ka
To usi baat se pyar ho jaye
Jab pukare pyar se naam mera
To apne hi naam se pyar ho jaye
Hota hai itna Khubsurat yeh pyar agar
to kash!!
To Usey B Mujh Se pyaar Ho jaye....





Name:haji
Homepage:-
Time:04/04/2008 at 7:25pm (UTC)
Message:Chale woh Qadam Qadam jo sath mere
To us k sath se Pyar ho jaye
Thame jo pyar se hath mera
To apne hi hatho se pyar ho jaye
jis rat aaye khuwabo main woh
us suhani raat se pyar ho jaye
jis baat main aaye zikar us ka
To usi baat se pyar ho jaye
Jab pukare pyar se naam mera
To apne hi naam se pyar ho jaye
Hota hai itna Khubsurat yeh pyar agar
to kash!!
To Usey B Mujh Se pyaar Ho jaye....





Name:haji
Homepage:-
Time:04/04/2008 at 7:17pm (UTC)
Message:
Kisi Bhi Lamhay
Kisi bhi lamhay Koi Dhyaan Mian Asakta Hai
Kisi Ki Jhuki Jhuki Nazar
Kisi Ka Dheema Dheema Lahja
Kisi Ka Masoom Sa Chahra
Bas Be Dhyani main
Na Danista
Idher Udher Ki Batian Kerty
Bas Achank Hi
Aik Dumm Dil Ko
Bhaa Sakta Hia
Kisi Bhi Lahmay
Koi Dhyaan Main A Sakta Hai




Name:haji
Homepage:-
Time:04/04/2008 at 7:13pm (UTC)
Message:
Hum Ne To Khair Tujh Se Shikayat Kabhi Na Ki
Aisa Nahi Ke Dil Ne Baghawat Kabhi Na Ki

Kis Haal Mein Hain Tere Sataye Hue Loog
Tu Ne Yeh Poochne Ki Zehmat Kabhi Na Ki

Mehsoos Kya Kare Ga Woh Auroun Ke Dard Ko
Jis Ne Khud Apne Aap Se Ulfat Kabhi Na Ki

Chaha Hai Main Ne Jis Ko Badi Shiddaton Ke Saath
Us Tarah Se Us Ne Mujh Se Mohabbat Kabhi Na Ki

Har Dastaan Teri Bohat Ghour Se Suni
Lekin Bayan Apni Shikayat Kabhi Na Ki

Eik Khwab Tha Apni Shabon Per Raha Muheet
Kya Khawab Tha Kisi Se Wazahat Kabhi Na Ki

Eik Aag Thi Ke Jalte Rahe Jis Mein Umr Bhar
Eik Dard Tha Ke Jis Mein Khayanat Kabhi Na Ki





 
 
 
 
Today, there have been 51 visitors (79 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free