Gazal
lagta nahi hai jee mera ujaray dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar mein
keh do in hasaraton se kaheen aur jaa basein
itnii jagah kahaaN hai dil-e-daaG_daar mein
umr-e-daraaz maaNg kar laaye thay chaar din
do arzoo mein kaT gaye do intazaar mein
kitnaa hai bad_nasiib "Zafar" dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili kuu-e-yaar mein

|