Poetry Page 23

 

-*  KHUDI MUSKARA KAR DEIKH LO KAISAY  BADALTA  HAI
    TUMHARAY MUSKARANAY SE DIL-E-NASHAD KA MOSAM.


*   NAJANE KON DUAON MEIN YAAD RAKHTA HAI
    MEIN DOOBTA HON SAMANDAR UCHAL DETA HAI.


*   YE DOLAT BI LAY LO,YE SHAUHRAT BI LAY LO
     BHALAY CHEEN LO MUJH SE MERI JAWANI
     MAGAR MUJH KO LOTA DO BACHPAN KA SAWAN
     WO KAGHAZ KI KASHTI,WO BARISH KA PANI.


*   UN SE HAR WAQT MERI ANKH LARI REHTI HAI
    KIA LARATA HAI K LARNAY PE ARI REHTI HAI.


*   YARO KISI KATIL SE KABHI PIAR NA MANGO
    APNAY HI GALAY K LIYE TALWAR NA MANGO
    JAL JAO KARI DHOOP MEIN KHAMOSHI SE LAKIN
    APNON SE KABI SAYA-E-DEEWAR NA MANGO.


*   WO SHAUQ JAB AAYA TO IS SHAN SE AYA
    JO SAHIB-E-KHANA THAY WO MEHMAN NAZAR AY.

 

*   HUM WO SIAH NASEEB HEIN  TARIQ K SHEHR MEIN
    KHOLAIN DUKAN KAFAN KI TO SAB MARNA CHOR DEIN.

 

*   YOUN LAGTA HAI SOTAY JAGTAY AURON KA MOHTAJ HON MEIN
    ANKHAIN MERI APNI HEIN PER IN MEIN NEEND PARAI HAI.

 

*   NA YAQEEN WAJUD PE KAT K,NA RIDAY-E-YAS PE AAON GA
    JO LIBAS TUJH KO PASAND HO MEIN USI LIBAS MEIN AAON GA.

 

*   LOK GEETON KA NAZAR YAAD AYA
    AAJ PARDES MEIN GHAR YAAD AYA
    HUM ZAMANE K SITAM BHUL GAY
    JAB TERA LUTF-E-NAZAR YAD AYA.

>>>>>>>>>><<<<<<<<< Next Page 24

 
 
 
 
Today, there have been 30 visitors (48 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free