Gazal
Mein mohabbat k sabhi taqazay nibhana janta hoon
Mager tairee safakiyan bhi zamanay, janta hoon
Uss k hansanay say dil ki dunya bhi mehak utthay
Aor uss k gham bhi hans ker utthana, janta hoon
Nafrat ki aakhri had ko bhi choo sakta hoon mein
Chaho to chahat k phool mehkana, janta hoon
Mujhey maloom hai sab,kia hai khaboon ki haqeeqat yahan
Jo kho gay hain meree aankhoon k sapnay suhanay, janta hoon
Uss ki rahoon k sab khar apni palkoon say chunoon
Uss k aanay ki khushi main phool barsana, janta hoon
Phir say ek wada kia tha aanay ka aor tod biatha hai
Aab kia hoon gay uss pashema“n k bahanay ,janta hoon
Koi mairee nigahoon say pa na sakay meray dil ka haal
Mein dard dil k dunya say chupana ,janta hoon
Phir sham dhal rahi hai so jaa aab tu Jehanzeb
Werna aa jaey gi yaad uss ki tujhay rulanay ,janta hoon.......
>>>>>>>>><<<<<<<<< Next Page 23