Poetry Page 3

*   ULTI JO US NE CHAHRA-E-GULRANG SE NAQAB
    DUNIA TAMAM MISAR KA BAZAR HO GAI.

 

*   YE WAQT KIS KI RONAQ K KHAWAB DAL GIA
    WO KON BOL RAHA THA KHUDA K LEHJAY MEIN.

 

*   US KO KHUSBU KI TARAH SATH BI RAKHON APNE
    PHIR US KO ZAMANE SE CHUPANA CHAHOON.

 

*   NA UMEEDY KA MEIN QAIL TO NAHEIN HUN LAKIN
    MEIN NE BARSAT MEIN JALTAY HOAY GHAR DAIKHAY HEIN.

 


*   YE THEEK HAI NAHEIN MARTA JUDAI SE KOI
    KHUDA KISI KO KISI SE MAGAR JUDA NA KARE.

 

*   YAAD ATA HAI TO KYUN US SE GILA HOTA HAI
     WO JO IK SHAKS HAMEIN BHOOL GIA HOTA HAI.

 

*   YAAD AYA WO HAMEIN AUR BI SHIDAT K SATH
    BHUL JANAY KA  USAY JAB BI  IRADA CHAHA.

 

*   ASHAAR K PARDE MEIN HAM JIN SE MUKHATIB HEIN
    WO JAAN GAY HON GAY KYUN NAAM LIA JAY.

 

*   AE HAWA MEIN NE TO BAS US KA PATA POOCHA THA
    AB KAHANI TO NA HER  IK BAAT KI BAN JAYA KARE.

 

*   YAAD US KI ITNI KHUB NAHEIN MEER BAZ AA
    NADAAN PHIR WO JEE SE BULAYA NA JAY GA.

>>>>>>><<<<<<< Next Page 4

 

 

 
 
 
 
Today, there have been 18 visitors (32 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free