Gazal
Woh aik shakhs keh,Manzil bhi rasta bhi hai
Wohi dua bhi wohi hasil-e-dua bhi hai
Mein us ki Khoj mein nikla hoon saath le ke use
Woh husn mujh peh ayan bhi hai aur chhupa bhi hai
Mein dar badar tha magar bhool bhool jaata tha
Keh ik charagh dareeche mein jaagta bhi hai
Khula hai dil ka dareecha usi ki dastak par
Joh mujh ko meri nigahon se dekhta bhi hai
Yeh meri sarhad-e-jaan mein qadam dhara kis nein
keh mehve khwab hoon aankhon mein ratjaga bhi hai
Ise woh bhoolne lagta hai jo ise bhoolne lage
Ata keh dil zada bhi aur sar phira bhi hai
>>>>>>>><<<<<<<< Next Page 18
|
|
 |
|